woh pal beet gaya yhe pal bhi gujar gaya,
kho gaye woh din masti ke,
the jo humare hasti ke,
woh bachpan ke metti yaade,
woh hasti kuch bolte kitabe,
aaj yahan sirf kaagaj ke tukde hai,
chehre he bas ab haste hai,
dil milte nhi aasane se yahan,
bas log baate karte hai!
Main bhi tha hasmukh kabhi ,
par ab gumsum rahta ho,
jane kitne badle duniya,
kitne badle badle log yaha,
muskil hai samjh pana jindgi ki har kahani hai,
muksil hai woh baate bhul jana,
muskil hai maa ke haatho ke roti kahana,
woh pal beet gaya yhe pal bhi gujar jana hai,
yaado ko saja lo warna kuch bhi nhi rah jana hai!